13 Rajab Ko Kaba Bola Lyrics

Song: 13 Rajab Ko Kaba Bola
Singer: Unknown
Music: Unknown
Lyrics: Unknown

13 Rajab Ko Kaba Bola Lyrics

Is Baat Pe Kyu kar na kare fakhar Mawali
Socha nahi bus humne to maana hai Ali ko
Batlati hai ye kaabe me maujood dararein
Is ghar n bohot toot ke chaha hai ALI ko

Ali Ali Mola Ali Ali Mola Ali…Ali Mola Ali Ali Ali Ali..
Ali Ali Mola Ali Ali Mola…Ali Ali Mola Ali Ali

Masjid Boli…Mola Mola,Mimbar Bola…Mola Mola
Masjid boli, mimbar bola,13 rajab ko kaaba bola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

Charo’n taraf midhat ki fizaein,aao zamane bhar ko sajaein
Aaj zahor hai maula ali ka,kyu na khushi me naara lagaein
Wajd mein aakar, naara lagaya,ali ali maula haider maula

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

13 rajab ki bazm sajai,khoob hui fir madha sarai
Ishq tera darwaish banae,ishq tera bakshe danaai
Khoob wila ka jam piya tha,phir bhi nashe me mai nhi dola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

Tune namaz e ishq sikhai,tune hume tauheed batai
Kaun baya’n kar paega maula,teri fazeelat teri badaai
Padne laga wo tera qaseda,jab bhi kabhi qur’aan ko khola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

Manao jashn ke kaabe mein aa rahe hai ali
Khuda ke ghar se buto’n ko bhaga rahe hai ali
Jidare kaaba ne has kar kaha khuda ki qasam
mujhe tawaaf ke qabil bana rahe hai ali

Joothe khudao’n walo aao,joothe khudao’n ko le jao
Aa gaya ghar ka malik dekho,apni duka’n kahi’n aur lagao
Aagai andar madar e haider,jhoom ke kaaba fir ye bola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

Marhab se ladte bhi dekha tanha use rote bhi dekha
Sajda use karte bhi dekha,sajda use hote bhi dekha
Sajid aur masjood ali hai,raaz yahi salmaan ne khola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

Rasm-e-wafa duniya ne chala di,ishq ki wo tehzeb sikha di
Karta raha duniya mein manadi,mesam tha is wird ka aadi
Kaati zabaa’n jab ehle sitam ne,daar pe jakar mesam bola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

Padhte hue mai nahj e balagha,ishq me tere soch raha tha
Kya hai teri me’raj bata de,tujh ko sare me’raj bhi dekha
Mere lahu mein, mere junoo mein,tere ishq ne hi ras ghola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

Mulke adam par teri hukumat,khuldo iram par teri hukumat
Marziye rab ka malik tu hai,lauh o qalam par teri hukumat
Duniya tujhko rabb kehti hai,jab jiska eemaan tatola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

An’amta ka raaz bhi tu hai,nabiyo ka dam saaz bhi tu hai
‘Mazhar’ ka eemaan hai maula,hatif ki aawaz bhi tu hai
Madha sana ‘Farhan’ hua to,kehne laga darwaisho ka tola

Ali Ali maula ali ali maula,Saath zaba’n ke dil ye bola
Ali ali maula ali ali maula,13 rajab ko kaaba bola.

Ali Ali Mola Ali Ali Mola Ali,Ali Mola Ali Ali Ali Ali..
Ali Ali Mola Ali Ali Mola,Ali Ali Mola Ali Ali

You may also like...