Ali Ke Chahne Wale Lyrics

Song: Ali Ke Chahane Walay
Singer: Ali Safdar Rizvi
Lyrics: Qammar Hassan
Music: Aoun Abbas

Ali Ke Chahne Wale Lyrics

Ali Hyder! Ali Hyder! Ali Hyder! Ali Hyder!
Ali Ali Ali Ali Ali Hyder, Ali Ali Ali Ali Ali Hyder,
Ali Ali Ali Ali Ali Hyder, Ali Ali Ali Ali Ali Hyder,
Hyder! Hyder! Hyder!
Lagakar Hyderi Nare, Hai Chehre Muskurate Hai
Ali Ke Chahne Wale Khushi Aise Manate Hain,

Humari Bandagi Maula Hamari Zindagi Maula,
Nabi Ne Keh Diya Maula Jise Bas Hai Wahi Maula,
Sikhaya Ma Ne Apni Loriyon Meinya Ali Maula,
Ghadeer-e-qum Ka Qissa, Ghadeer-e-qum Ka Qissa,
Apne Bachon Ko Sunate Hain, Hyder! Hyder! Hyder!

Ali Ke Chahne Wale Khushi Aise Manate Hain,
Ali Ke Chahne Wale Khushi Aise Manate Hain.

Khula Karta Hai Hajj Ke Darmiyan Khushiyon Ka Darvaza,
Tawaf Aisa Hai Hota Jhoomta Hai Qana-e-kaba,
Dilon Meinazmat-e-tauheed Lab Par Ya Ali Maula,
Khuda Ke Ghar Ali Paida, Khuda Ke Ghar Ali Paida,
Huwe Sab Ko Batate Hai, Hyder! Hyder! Hyder!

Ali Ke Chahney Waley Khushi Aise Manatey Hain,
Ali Ke Chahney Waley Khushi Aise Manatey Hain.

Jo Kehlata Hai Momin Karbala Ka Hai Woh Bashinda,
Mazalim Ke Muqabil Khoon Se Rehta Hai Payinda,
Ali Par Jan Dekar Ye Hamesha Hogaye Zinda.
Shaheedon Ke Toh Chehre Bhi, Shaheedon Ke Toh Chehre Bhi
Kafan Meinmuskurate Hai. Hyder! Hyder! Hyder!

Koyi Boodha Bhi Ajaye To Wo Hokar Jawan Uthe,
Dilon Se Nara-e-hyder Zameen Ta Asman Uthe,
Mere Har Sher Par Dil Se Munafiq Ke Dhoan Uthe,
Jo Munkir Hai Ali Ke, Jo Munkir Hai Ali Ke
Unko Lafzo Se Jalate Hai. Hyder Hyder Hyder.

Musalsal Koshisho Ke Bad Bhi Nakam Tha Lashkar,
Alam Jisko Payambar Se Mila Woh Mard Hai Hyder
Mawali Sab Ikathe Hogaye Hai Sajgaya Khaibar,
Jo Sachi Bat Hoti Hai, Jo Sachi Bat Hoti Hai,
Wahi Sab Ko Batate Hai. Hyder Hyder Hyder

Bulaya Tha Shab-e-mehraj Jisko Haq Ne Aqma Ka,
Bohat Nazdeek Tha Mehboob Bas Kehne Ko Parda Tha,
Khuda Ne Bat Ki Jis Meinbohat Manoos Lehja Tha,
Ali Ki Thi Angothi Aur Ali Ka Hath Dekha Tha
Bohat Khush Hai Nabi, Bohat Khush Hai Nabi,
Mehraj Se Tashreef Late Hai. Hyder Hyder Hyder.

Yaha Hai Saqi-e-kausar Yaha Jannat Ke Dar Bhi Hai,
Malayek Hai Yaha Maujood Aur Jinn-o-bashar Bhi Hai
Fazayel Hai Yaha Athar Ali Safdar Qamar Bhi Hai
Ye Aisi Bazm Hai Jis Mein, Ye Aisi Bazm Hai Jis Mein,
Wali-e-asr Ate Hai.
Hyder Hyder Hyder

You may also like...