Bematlab Lyrics- Asim Azhar | Talha Anjum

Song: Bematlab
Singer: Asim Azhar, Talha Anjum
Music: Asim Azhar
Lyrics: Asim Azhar, Talha Anjum
Label: Asim Azhar

Bematlab Lyrics

Bematlab hui humari zindagi,
Bematlab hui hai saari bandgi.
Kiven samjhawan tenu,
Ishq da rog ae mainu,
Kiven samjhawan tenu,
Ishq da rog ae mainu.

Zehmat hi sahi kya aisi berukhi,
Mujhko aisi na saza de,
Apne bin jeena sikha de,
Yaaden saari pal mein jala de,
Khoya hoon main ghar ka pata de.

Hijar ke ye pal guzarne ko raazi nahi,
Dil mein bedili hai bechaini khati rahi,
Khushbuein hain teri nazar kyu tu aati nahi,
Dil ke baagh mein ab koile bhi gati nahi,
Tere piche main dewaana ik zamane se,
Ik zamana mujhpe guzra tere jaane se.

Rawani nahi hai saans mein,
Dooba hoon jaise paani mein,
Mujhe shor nahi chahiye,
Gehraiyon mai jaane de.

Ab mujhpe jo guzar rahi,
Tumhe to koi khabar nahi,
Tere tarike hi karein benaqaab tujhe,
Dil e betaab karein bezar mujhe,
Dil ab banjar koi zinda shajar nahi.

Chand yar hi ab dikhein mere sath mujhe,
Padhein zehen mera samjh ke kitaab mujhe,
Kehti ho mujhe bas jee aur aap tum,
Paharoun ke beech chupa ik talaab tum,
Meri mehfiloun ki ronaq or adab tum,
Agar main mausiqi hoon toh fir rabab tum.

Ab tu bhi hai akeli and i know,
Teri kul mila ke saheliyaan do,
Fake smile but the pain still shows,
Tu chup rahe where you could let it go.
Bekaraari hai raat bhaari hai,
Chain na mile kahin pal bhar.

Rog ye tera ham pe taari hai,
Chha rahi hai dil mein halchal (halchal).

Wekhan main teriyan raawan,
Uth de kyon digda jaawan,
Wekhan main teriyan raawan,
Tere wal main turda jaawan,
Bematlab hui hamari bekhudi.

Mujhko aisi na saza de,
Apne bin jeena sikha de,
Yaaden saari pal mai jala de,
Khoya hoon main ghar ka pata de.

Hijar ke ye pal guzarne ko raazi nahi,
Dil mein bedili hai bechaini khati rahi,
Khushbuein hain teri nazar kyu tu aati nahi,
Dil ke baagh mein ab koile bhi gati nahi.

Hijar ke ye pal guzarne ko raazi nahi,
Dil mein bedili hai bechaini khati rahi,
Khushbuein hain teri nazar kyu tu aati nahi,
Dil ke baagh mein ab koile bhi.

You may also like...