Chehre Uraan Lyrics

Song: Chehre
Singer: Uraan
Lyrics: Usama , Ahad , Taimour Baig
Label: Uraan

Chehre Uraan Lyrics

Jane ka me naam loon
Tu hath mera thaam le
Jo ho zara tu be sukoon
Mujhe araam na mile

Hawao’on me mai dhoonta hun is trah se tujhko k
In saasno ki umeed teri khushbon inse a mile

Umeed meri aj pr hai dekha kisne kl
Meetha tera lehja jese ho sabar ka phall
Jo likhi mene dooriyaan wo seh raha me aj bhi
Ab is adhoori dastaan pe likhi kitni shaiyrii

Me khud bhatak chukka pr teri ye zidd na hili
Ghum itne gehre mile jese ghum ho saahilii
Or wo samjhty hain k sahyy nahi zara bhi ghum
Ghumoon k saharey pr krty tujhpe shaiyrii

Shehzadey apney ghr k tere darr pe roo pare hain
Raaho’on mai hai kaantey nangy paa’oon
Chal pare hai hain
Naw poch hum ko kiya howa bss de dy hum ko tu dawa
baha mt ansoo saamne khuda ka wasta tu jaa..

Chehre ye tere badalte hain kese
Ab inke aasre pe kb tk thehrein

Bahaa de mujhe aanso’on me hii
Q hai nahi yaqeen k tu saath nahii…

Manga khuda se thaw Hans kar zamane se maangu ga ro kr me
Rota hn tanhaaiyon me hansata hn sbko kiya Joker me ?
Dega jab thokar zamana to aansu kiya mere tum poochoge ?
Meri talaash me dar badar ghoomo gay khud ko bhi Kho do ge
Diye hain dhoke bhi mene pr mera bhi yeh dil toota hai
Ukhra nhi rehta me tumse yeh shaks to khud se bhi rootha hai

Chuta hai Tera dar jab se
Me khud se mila hn mila hn me rab se
AJab se hi hain haal me doobe hoa hn
Tu mujhko na chair me toota hoa hn

Tu ne hi saaf kiye thay yeh aansu aur tune kaha thaw ke rote nhi hain
Tune kaha thaw sambhal ke yeh duniya hai rangeen , rangon me khote nhi hain
Dhoondega mujh ko yahan Kon? Hai wajah yeh saaf ke khud ko hum khote Nhi hain
Ro rha aaj bhi yaad me teri yeh aansu gawah hai yeh Poochay nhi hain

Likhne jo baithun to girte hain
aansu
Sawal hai mera milega kahan tu
In askho ki mehfil me bethe zakham hain
Or thehra hai dard or dard ki dawa tu

Likh liya haathon pe naam to tera pr qismat me likhta me kese ?

Prhta thaw chehra me tera ab
chehra badal chuka prhta me kese ?

Chehre ye tere badalte hain kese
Ab inke aasre pe kb tk thehrein

Bahaa de mujhe aanso’on me hii
Q hai nahi yaqeen k tu saath nahii…

ye gana hai shuru se aaj tk
Dekhe jo maine hain chahray
ye gana hai shuru se aaj tk
Maslay zindagi hai aye jo mere

Aye khuda jo lye hai tujhse ma kese lautaunga
Sochun ma raton mai
Karta hun ma pyar ma kese bataonga
Sab pareshaan ke gata hun ganay ma

Ye sab apne aap ko khorahe
Chehray per hasi per andar se rorahe
Dil o jaan se jo wyada hain thore
thou wyaday karna maine jabhi hain chore

Jo bhi kehta ma soch ke kehta hun
Mehfilo ma ab chup chup sa rehta hun
Nashay ma dhoondoge kahan tum
Jaam peeke mekhane ma bheta hun

Dil mai ab abhi teri jagah hai
Takaluf phir kesa mehmano mai
Janaza uthe tere ghr se
Hum soyam manaenge mehkano mai

Sab likha hai dil se aur bol chuke
Kitni kitaben hum kholchuke
Jo kehna tha kehchuke
Hum qalam aur gagaz hi hurmat hi bhoolchuke

Qalam ka likha wa mitne na kbhe
die jo dard tune hatena kabhe
per ye kese dard jo die
sunane ke bhi batena kabhe

kese hum harenge jung
Koi apne maidaan mai darena kabhi
aur kitne maroge tum
Amrat peene wale marena kabhe

Chehre ye tere badalte hain kese
Ab inke aasre pe kb tk thehrein

Bahaa de mujhe aanso’on me hii
Q hai nahi yaqeen k tu saath nahii

You may also like...