Kya Tu Mere Bina Lyrics- Asim Azhar

Song: Kya Tu Mere Bina
Album: Bematlab
Singer: Asim Azhar
Lyrics: Asim Azhar
Music: Asim Azhar

Kya Tu Mere Bina Lyrics

Lagne laga hai sab kuch ajnabi sa
Lagta hai mann kahin na
Tu bhi gayi hai humko bhool aise
Jaise the hum kabhi na

Dil mera na jaane
Kin ummeedon mein hai bas andhera
Ho shuru bas tere hi khayalon se
Har sawera

Kya tu mere bina
Bhi muskurati hai ya khilkhilati hai jaana
Kya tu mere bina
Bhi dil lagati hai aansu bahati hai jaana
Kya tu mere bina
Khudko sajati hai waise sharmati hai jaana

Tumne kaha tha chehra mera kahin dikh na paye
Kehdo wo sach nahi tha
Kese karu main raabta is dar ke maare
Raha na haq jo mera

Aa chal chalen phir se unn raaho par
Waada karein na lade un baaton par
Koi gila na rahe tu sar aankho par
Bas tu bharosa kar yakeen mere iraado par

Kya tu mere bina
Bhi muskurati hai ya khilkhilati hai jaana
Kya tu mere bina
Bhi dil lagati hai aansu bahati hai jaana
Kya tu mere bina
Khudko sajati hai waise sharmati hai jaana

Aa chal chalen phir se unn raaho par
Waada karein na lade un baaton par
Koi gila na rahe tu sar aankho par
Bas tu bharosa kar yakeen mere iraado par

You may also like...