Mohabbat Kar To Len Lekin Song Lyrics
Song: Mohabbat Kar To Len Lekin
Movie: Izzat (1968)
Singer: Mohammed Rafi, Lata Mangeshkar
Lyrics: Sahir Ludhianvi
Music: Laxmikant Pyarelal
Label: Saregama Music
Mohabbat Kar To Len Lekin Song Lyrics
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin ham kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahi ham kya karein
Tassawur mein koi basta nahin hum kya karein
Tum hi keh do ab ae jaane wafa ham kya karein
Lute dil mein diya jalta nahin hum kya karein
Tumhi keh do ab aye jaane ada hum kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahin ham kya karein
Kisi ke dil mein bas ke dil ko tadpana nahi achha
Kisi ke dil mein bas ke dil ko tadpana nahi achha
Nigahon ko jalakte dekh kar chhup jana nahi achha
Ummidon ke khile gulshan ko jhulsana nahi achha
Hamein tum bin koi jachta nahi hum kya karein
Tum hi keh do ab jaane wafa hum kya karein
Lute dil mein diya jalta nahi ham kya karein
Mohabbat kar toh le lekin mohabbat ras aaye bhi
Mohabbat kar toh le lekin mohabbat ras aaye bhi
Dilo ko bojh lagte hai kabhi julfo ke saye bhi
Hazaron gam hain iss dunia mein apne bhi paraye bhi
Mohabbat hi ka gam tanha nahi hum kya karein
Tum hi keh do ab aaye jaane ada ham kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahi ham kya karein
Bujha do aag dil ki ya ise khulkar hawa de do
Bujha do aag dil ki ya ise khulkar hawa de do
Jo iska mol de paye usse apni wafa de do
Tumhare dil mein kya hai bas hamein itna pata de do
Ke ab tanha safar katta nahi ham kya karein
Lute dil mein diya jalta nahi ham kya karein
Yeh dil tum bin kahin lagta nahi ham kya karein