Pasliyan Toot Gayi Meri Bhi Dadi Ki Tarah Lyrics

Song: Pasliyan Toot Gayi Meri Bhi Dadi Ki Tarah
Singer: Mir Hasan Mir
Lyrics: Mir Hasan Mir
Music: Mir Hasan Mir

Pasliyan Toot Gayi Meri Bhi Dadi Ki Tarah Lyrics

Haye sakina, haaye sakina
haye sakina

Haye…haaye…
Samajh ke zahra sataya gaya sakina ko
qadam qadam pe rulaya gaya sakina ko
wo zakhm aaj bhi taaza hai pushte naaqa se
haye giri nahi hai giraya gaya sakina ko
haye… haye

Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Mujhko chalte hue naaqe se giraya baba
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Hogayi chaar(4) baras mein hi sakina, zahra
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Wo bhi dada se chupati rahi apna pehlu
mujhse bhi dekhe na jayenge ali ke aasu..(2)
jeeteji mere mera zakhm na dekhe bhaiyya
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Kaise aayi hu mai bazaar se hokar baba
mujhko maare gaye is zakhm pe patthar baba..(2)
roke mai kehti rahi phir bhi kisi ne na suna
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Haye,
Ab samajh sakti hu kis tarha wo soti hongi
haath pehlu pe rakhe kaise tadapti hongi
karwate dard mujhe bhi nahi lene deta
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Hubahu fatima zehra si zaeefi chayi
jhurriya’n chehre pe baalo mein safedi aayi..(2)
ek kami baaqi thi wo bhi hui poori baba
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Saath suraj ke ye dil doob raha hota hai
amma kehti hai yehi waqt e dua hota hai..(2)
roz karti hu sare shaam mai marne ki dua
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Jaake jannat mein bhi aaram nahi payega
kya ye armaan mera dil mein hi reh jayega
kaise godi mein uthaungi mai asghar ko bhala
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Aapka sar jale daaman mein uthane ke liye
haath darbaar mein mushkil se uthaye maine
tumko us waqt bhi maine na bataya baba
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Gir padi khaak pe namoos e nabi peet ke sarr
qaid khane mein hui aur qayamat akbar
leke sar baap ka bachhi ne jo ro ro ke kaha
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha

Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada
pasliya’n toot gayi meri bhi dadi ki tarha
Haye zahra, haye sakina

You may also like...