Teri Nazron Ne Kuch Aisa Jadoo Kiya Lyrics | Ankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li Lyrics | Maine Jab Dekha Tha Tujhko Lyrics

Song: Lut Gaye
Singer: Jubin Nautiyal
Music: Tanishk Bagchi
Lyrics: Manoj Muntashir
Featuring: Emraan Hashmi

LYRICS

Maine Jab Dekha Tha Tujhko
Raat Bhi Woh Yaad Hai Mujhko
Taare Ginte Ginte So Gaya

Dil Mera Dhadka Tha Kass Ke
Kuch Kaha Tha Tune Hass Ke
Main Usi Pal Tera Ho Gaya

Aasmano Pe Jo Khuda Hai
Usse Meri Yahi Dua Hai
Chand Yeh Har Roz Main Dekhu
Tere Sath Mein

Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li
Dil Ka Sauda Hua Chandani Raat Mein
Oh Teri Nazron Ne Kuch Aisa Jaadoo Kiya
Lut Gaye Hum Toh Pehli Mulaqaat Mein
Oh Aankh Uthi!

Paao Rakhna Na Zameen Par
Jaan Rukja Tu Ghadi Bhar
Thode Taare Toh Bichadu
Main Tere Vaaste

Aajmale Mujhko Yaara
Tu Zara Sa Kar Ishaara
Dil Jala Ke Jagmaga Du
Main Tere Raaste

Haan Mere Jaisa Ishq Mein Pagal
Phir Mile Ya Na Mile Kal
Sochna Kya Hath Ye Dede
Mere Hath Mein

Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li
Dil Ka Sauda Hua Chandani Raat Mein
Oh Teri Nazron Ne Kuch Aisa Jaadoo Kiya
Lut Gaye Hum Toh Pehli Mulaqaat Mein
Oh Aankh Uthi!

Haan Kisse Mohabbat Ke
Hain Jo Kitabon Mein
Sab Chahta Hoon Main
Sang Tere Dohrana

Kitna Zaroori Hai
Ab Meri Khatir Tu
Mushqil Hai Mushqil Hai
Lafzon Mein Keh Pana

Ab Toh Yeh Alam Hai
Tu Jaan Mange Toh
Main Shaunk Se Dedu
Saugat Mein

Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li
Dil Ka Sauda Hua Chandani Raat Mein
Oh Teri Nazron Ne Kuch Aisa Jaadoo Kiya
Lut Gaye Hum Toh Pehli Mulaqaat Mein
Oh Aankh Uthi!

TRANSLATION

muje yaad hai wo raat jaab maine tumhe pehli baar dekhata
itum itani haseen thi ki tumhara chehara meri ankho se ojal hone ka
nam hi nahi le raha tha
muje aasman ke taaron me bhi tumhara chehara dikhai de raha tha
mai baas usi taron ko ginte ginte kab so gaya muje pata hi nahi chala

mera ye pagal dil bahot jor se dhadkatha us time
jab tum ne aapni pyari si hasi ke saath muje kuch kaha tha
muje lagata hai ki main to usi pal se tumhara ho gaya tha

me to upar vale bhagavan se ab to hamesha yahi duaa karata hu ki
ki main us aasman vale chand ko aapne is chand ke saath dekhu

jaise hi unhone mere saamne dekha kar apani palke uthai
tabhi mere undar kuch halchal si hui
mera dil usi chandni raat me unka ho gaya
pata nahi tumhari katil nazaron ke aisa to kya jaado kar diya muj par
ki tamahre saath pehali hi mulakat main
main aapna dil tumhe de baitha

meri jaan tum aabhi thodi dairke liye hamare dil me hi
baithe raho
main tumhare liye aasman se tare todkar zameen par bichana
chahta hu tu tabhi us par chal na

aagar tum me mere pyar pe bharosa nahi hai to
muje aajmake dekh lo main tumhare liye kuch bhi
kar sakta hu
main isaq me khud ko mita dunga par tumhare par
koi aanch nahi aane dunga

tumhare pyar me pagal mere jaisa koi milega ya nahi kabhi
ye soch ne main time barbad mat karo
aab tum aapna haath mere haath me dekha
mere ho jao

jaise hi unhone mere saamne dekha kar apani palke uthai
tabhi mere undar kuch halchal si hui
mera dil usi chandni raat me unka ho gaya
pata nahi tumhari katil nazaron ke aisa to kya jaado kar diya muj par
ki tamahre saath pehali hi mulakat main
main aapna dil tumhe de baitha

aab tak jitani bhi prem kahaniyo ka jikar
kitabon main he wo saab me tumhare liye
kar gauzarana chahata hu

ab tum mere liye kya mayane rakha te ho
ye sab alfazon me kehana na mumkin hai

ab to tumhare pyar main me es kardar pagal
ho chuka hu ki tum mujase meri jaan bhi mang lon ge to
me haste haste de dunga

jaise hi unhone mere saamne dekha kar apani palke uthai
tabhi mere undar kuch halchal si hui
mera dil usi chandni raat me unka ho gaya
pata nahi tumhari katil nazaron ke aisa to kya jaado kar diya muj par
ki tamahre saath pehali hi mulakat main
main aapna dil tumhe de baitha

You may also like...