Watan Ki Mitti Gawah Rehna Lyrics

Song: Watan Ki Mitti Gawah Rehna
Singer: Nayyara Noor

Watan Ki Mitti Gawah Rehna Lyrics

Watan ki mitti gawah rehna, gawah rehna
Watan ki mitti azeeem hai tu,
Azeem tur hum bana rahai hein
Gawah rehna
Watan ki mitti gawah rehna, gawah rehna

Teray mughani ki har sada main,
Teri hi khushboo mehak rahi hai
Har aik sur main har aik lay main,
Teri hi mohabuat chamuk rahi hai
Gawah rehna
Watan ki mitti gawah rehna, gawah rehna

Teri zameen pay yeh chand taaray,
hai jin ki aankhoun main pyar tera
Sadaqatoun kay diyay jala kur,
Barha rahai hain waqar tera
Gawah rehna
Watan ki mitti gawah rehna, gawah rehna

har aik dil main teri lagan hai,
teri hi janib har ik nazar hai
Teri Hifazat ka azm lay kur,
Har aik apnay mahaaz pur hai
Gawah rehna
Watan ki mitti gawah rehna, gawah rehna

Watan ki mitti gawah rehna
Watan ki mitti azeeem hai tu,
Azeem tur hum bana rahai hein
Gawah rehna
Watan ki mitti gawah rehna, gawah rehna
Gawah rehna

You may also like...